do pal k raaste,
sadio me badal jate hai,
jab jindagi me,
hamsafar mil jate hai,
tab manjilo se matlab nahi rehta,
bas unka hi khayal rehta hai,
kya wo mere ho paege,
bas yahi sawal rehta hai,
mujhe bhi esa koi mila,
aur dunia jannat ho gayi,
har pal khubsurat lagne laga,
uski har baat mannat ho gayi,
mera puri dunia,
uske kareeb simat gayi,
do lafz kahe usse,
aur duria mit gayi,
usne pucha ki tum mujhe,
beech rah chhod to nahi doge,
jo bhi kabhi mangungi,
kya tum la kar doge,
maine kaha isme puchna kya,
ye to jaahir hai,
mang kar to dekho,
dunia hajir hai,
usne kaha,mujhko taare la kar do,
ek nahi,saare k saare la kar do,
wo hans di,
mai bhi muskura gaya,
is tarah ye rishta,
aur gehra gaya,
fir to jindagi kuch aur ho gayi,
uske bina din kaatne mushkil the,
jab puri dunia soya karti thi,
tab jaagte do dil the,
roj wo milti thi,
roj wo ruthti thi,
fir roj jindagi bhar baat na karne ki kasam khati,
fir wo kasam tutti thi,
wo pucha karti ki,
ye haseen khwaab tod to nahi doge,
jo bhi kabhi mangungi,
kya tum la kar doge,
mai kehta ki kyu puchti ho,
tumhe jawab pata hai,
tumhari khushi ke lie to,
ye jindagi bhi ata hai,
usne kaha ki,ese sapne la kar do,
jisme tum hi ho mere apne,la kar do,
ab wo chup thi,
maine bhi use sab khamoshi se samjha dia,
uski is baat ne,
hame pehle se bhi karreb la dia,
kuch wakt baad usne kaha ki,
mai chahti nahi,par mujhe jana padega,
kuch aur jimmedaria hai meri,
unhe bhi to mujhe nibhana padega,
tab mai kya bolta,
wo mujhe chhod ke ja rahi thi,
kaha rakhta tasweer uski ,
jab dil hi tod k ja rahi thi,
bas ek baar pucha ki,
kya jana itna jaruri hai,
tum ruk jao,
esi bhi kya majburi hai,
usne kaha aaj mai ja rahi hu,
shayad kuch wakt me mujhe bhula doge,
ek cheej mangna chahti hu,
kya ab bhi tum la kar doge,
maine kaha ki ab is aakhiri tohfe ko,
kaise mana kar paunga,
jaate jaate mai tumhe,
bas khush dekhna chahunga,
usne kaha ki chahe ek keval baar hi mil pae,
par dua karna ki fir mujhe mera pyaar mil jae,
tab jate jate wo bhi ro padi,
mai bhi ro dia,
us din jana ki kya paya tha,
aur kya kho dia,